Thursday, 29 August 2013

QABRO KI ZYARAT KA SAHI TARIQA

Qabron ki Ziyarat KA Sahih tarika:
Hadees*
Hazrat Buraidah
(radhiallahu ta'ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya k mene tum logo
ko
Qabron ki Ziyarat se manaa
karta tha ab tumhe ijazat deta
hun k unki Ziyarat karo
>MUSLIM SHARIF jild-1 page-314
kitabul janaiz< Hadees* Hazrat Ibne Mas'ood (radhiallahu ta'ala anhu) Riwayat karte hai Nabi-e-Paak Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki mene tum logo ko Qabron ki Ziyarat se roka tha to ab me tumhe ijazat deta hun k unki Ziyarat karo islie k QABRO ki ziyarat karna dunia se bezaar karta hai aur akhirat ki yaad dilata hai >IBNE MAJAH jild-1 page-112<
QABRON KI ZIYARAT KA BEHTARIN TARIKA:
pairo ki janib se jakar
Mayyat
Ke munh ke samne khada ho
Aur ye kahe
"Assalamualaikum Ahla Dare Qoumim'momeneena
Antum lana Salafa
Wa'inna Insha Allahu be'kum
La'heQoona Nas'alullaha Lana walakomul Afwa Wal-Afiyah"
Fir 3 ya 5 ya 7 ya 11 baar
Durood Sharif Padhen
Iske
Baad jis Qadar ho sake Quraan Sharif
Ki Suraten aur Ayaten tilawat
Karen maslam
Surah Yaseen
Surah Mulk
Charo Qul
Surah Fatiha
Alim laam meem
Se
Muflehoon tak aur Ayatul kursi
Aur Amanarrasulo wagerah fir akhir me
Durood sharif padhkar
Esaale Sawab kare
Aur
Afzal ye hai k
Esaale-Sawab me
Sab momineen Wa mominaat
Ki shamil kare ki har ek ko
Pura pura Sawab
Milega
Aur kisi ke ajar me kuchh kami
Na hogi
(Raddul muhtar,Bahare shariat part-4 page-165)
AULIYA-E-KIRAM KI MAZARE MUQADDASA KI
Ziyarat ke lie Safar karna jaiz hai:
(Bahare Shariat part-4 page-164
Raddul Muhtar)
Auliya-e-kiram ki ziyarat karna
Khuda-e-ta'ala se mohabbat ki daleel hai
Aur unhe
Kafir aur biddati kehna khuli hui
Gumrahi aur bad'aqidagi hai
(Tafsire Sawi jild-1 page-245 ayate karima
"Ibtagu ilaihil wasilata"
ke tahet
Yani Aulia Allah ki ziyarat
Ke
Sabab musalmano ko is khyal
Se kafir kehna k unki ziyarat
Ibaadate Gairullah hai khuli
Gumrahi aur khasare ka sabab hai
(Aulia Allah ki ziyarat ibaadate Gairullah) hargiz
Nahi
Kuch galat kaam karne wale
log agar ayyame
Urs me paye jayen to
Unki wajah se
Ziyarat tark na karen
Islie k aisi
Baton se nek kaam tark nahi
Kia jata balki usey bura jane
Aur islah ki ziddo jahed karen
(Raddul muhtar jild-1 page-631)
Auraton ko Azizo ki Qabron
Par jana Mamnua(mana) hai
Islie k wo jazaa'fazaa karengi
Islie najaiz hai
(Raddul muhtar jild-1 page-631)
Tatahawi page-376)
Mazarat par hath ferna
Ya bosa dena
Unke samne jhukna aur zamin
Par chehra malna manaa hai
(As'atul'lamaatjild-1 page-716)
(Fatawa Alamgiri jild-5 misri page-304)
(Fatawa Razvia jild-4 page-8)
Me hai ki
mazarat ko bosa na dena chahiye
Qabar ko Sajda karna haraam
Agar ibaadat ki niyat se hoto kufr hai
(Sarah Fiqha akber page-230)
Fatawa Alamgiri jild-5 misri page-231)

5 comments:

  1. please give the reference of hadees shareef for reciting aayaat at qabar,,,thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. “ عن أنس رض أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: من دخل المقابر فقرأ سورة يس خفف الله عنهم و كان له بعدد من فيها حسنات. ” أخرجه عبد العزيز صاحب الخلال، كما في شرح الصدور و المظهري و أبو بكر النجار كما في معدة القاري… علامہ کبير حافظ الدين سيوطي ان احاديث و آثار کے باے میں فرماتے ہیں: و هي و إن كانت ضعيفة فمجموعها يدل على أن لذلك أصلا.

      Translation: Anas, radiyllahu, narrated that the Prophet, sallallahu alayhi wa sallam, said, “Whoever enters a graveyard and reads surah Yasin, Allah will lessen the punishment of the deceased and the reciter’s reward will be according to the number of people buried there.”[1]

      Delete
  2. Sajda 2 kism ka hai..ek ibadat ke liye dusra adab ke..niyat aham hai..sajda kis niyat se karte hai uspe depend karta hai..ye mera manna hai..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar strictly ahkaam hai ki mamnu hai irrespective of niyat.

      to aap taweelat me jaakar maane pehna rahe hai ye ahkaam ki khilaaf warzi karrahe hai.

      Delete
    2. This comment has been removed by the author.

      Delete